Shad Azimabadi

ek sitam aur lakh adaen uf ri jawani hae zamane

Shad Azimabadi

Patna, Bihar, India

1846-1927
ek sitam aur laakh adā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
tirchhī nigāheñ tañg qabā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
hijr meñ apnā aur hai aalam abr-e-bahārāñ dīda-e-pur-nam
zid ki hameñ vo aap bulā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
apnī adā se aap jhijaknā apnī havā se aap khaTaknā
chaal meñ laġhzish muñh pe hayā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
haath meñ aaḌī teġh pakaḌnā taaki lage bhī zaḳhm to ochhā
qasd ki phir jī bhar ke satā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
kaalī ghaTā.eñ baaġh meñ jhūle dhānī dupaTTe laT jhaTkā.e
mujh pe ye qadġhan aap na aa.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
pichhle pahar uTh uTh ke namāzeñ naak ragaḌnī sajdoñ pe sajde
jo nahīñ jaa.ez us kī duā.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
'shād' na vo dīdār-parastī aur na vo be-nashsha kī mastī
tujh ko kahāñ se DhūñDh ke laa.eñ uf rī javānī haa.e zamāne
Top Urdushayar.com