baḌe adab se ġhurūr-e-sitam-garāñ bolā
jab inqalāb ke lahje meñ be-zabāñ bolā
takoge yūñhī havāoñ kā muñh bhalā kab tak
ye nā-ḳhudāoñ se ik roz bādbāñ bolā
chaman meñ sab kī zabāñ par thī merī mazlūmī
mire ḳhilāf jo bolā to bāġhbāñ bolā
yahī bahut hai ki zinda to ho miyāñ-sāhab
zamāna sun ke mire ġham kī dāstāñ bolā
hisār-e-jabr meñ zinda badan jalā.e ga.e
kisī ne dam nahīñ maarā magar dhuāñ bolā
asar huā to ye taqrīr kā kamāl nahīñ
mirā ḳhulūs muḳhātab thā maiñ kahāñ bolā
kahā na thā ki navāzeñge ham 'hafīz' tujhe
uḌā ke vo mire dāman kī dhajjiyāñ bolā