Hafeez Merathi

ai dil KHushi ka zikr bhi karne na de mujhe

Hafeez Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1922-2000
ai dil ḳhushī kā zikr bhī karne na de mujhe
ġham kī bulandiyoñ se utarne na de mujhe
ghar hī ujaḌ gayā ho to lutf-e-qayām kyā
ai gardish-e-mudām Thaharne na de mujhe
maqsad ye hai sukūñ kisī sūrat na ho nasīb
ai chārasāz baat bhī karne na de mujhe
chehre pe khaal tak bhī na chhoḌeñge bad-nigāh
ai mere ḳhair-ḳhvāh sañvarne na de mujhe
hai dekhne kī chiiz jo bismil kā raqs bhī
duniyā ye chāhtī hai ki marne na de mujhe
ye daur sañg-dil hī nahīñ tañg-dil bhī hai
gar bas chale to aah bhī karne na de mujhe
ab bhī ye hausla hai ki kuchh kaam aa sukūñ
maiñ TuuT to gayā huuñ bikharne na de mujhe
Top Urdushayar.com