sitam kī teġh ye kahtī hai sar na ūñchā kar
pukārtī hai bulandī ki zindagī hai idhar
chaman meñ ham na raheñge tire palaTne tak
Thahar Thahar zarā jaatī huī bahār Thahar
koī fareb na khaa.e safed-poshī se
na jaane kitne sitāre nigal ga.ī hai sahar
tū jauhrī hai to zebā nahīñ tujhe ye gurez
mujhe parakh mirī shohrat kā intizār na kar
'hafīz' kitne hī chehre udaas hone lage
hamāre fan ko sarāheñ bahut na ahl-e-nazar