lahū se apne zamīñ lāla-zār dekhte the
bahār dekhne vaale bahār dekhte the
surūr ek jhalak kā tamām umr rahā
havas-parast the jo baar baar dekhte the
kabhī kabhī hameñ duniyā hasīn lagtī thī
kabhī kabhī tirī āñkhoñ meñ pyaar dekhte the
chalā vo daur-e-sitam ghar meñ chhup ke baiTh ga.e
jo har salīb ko mardāna-vār dekhte the