ajiib dard kā rishta thā sab ke sab ro.e
shajar girā to parinde tamām shab ro.e
kisī kā bhī na charāġhoñ kī samt dhyān gayā
shab-e-nashāt vo kab kab bujhe the kab ro.e
hazār girya ke pahlū nikalne vaale haiñ
use kaho ki vo yūñhī na be-sabab ro.e
hamāre zād-e-safar meñ bhī dard rakkhā gayā
so ham bhī TuuT ke ro.e safar meñ jab ro.e
kisī kī aañkh hī bhīgī na sail-e-dard gayā
tumhārī yaad meñ ab ke baras ajab ro.e
tire ḳhayāl kī lau hī safar meñ kaam aa.ī
mire charāġh to lagtā thā ro.e ab ro.e
kuchh apnā dard hī 'tāriq'-na.īm aisā thā
baġhair mausam-e-girya bhī ham ġhazab ro.e