Tariq Naeem

meri nigah kisi zawiye pe Thahre bhi

Tariq Naeem

Multan, Punjab, Pakistan

1958
mirī nigāh kisī zāviye pe Thahre bhī
maiñ dekh saktā huuñ hadd-e-nazar se aage bhī
ye rāsta mire apne nishāñ se aayā hai
mire hī naqsh-e-kaf-e-pā the mujh se pahle bhī
maiñ us kī aañkh ke manzar meñ aa to saktā huuñ
vo kam-nigāh mujhe hāshiye meñ rakkhe bhī
maiñ us ke husn kī thoḌī sī dhuup le aayā
vo āftāb to Dhalne lagā thā vaise bhī
mire kahe pe mujhe chaak par to rakhtā hai
magar ye chaak se kahtā nahīñ ki ghūme bhī
abhī to mansab-e-hastī se maiñ haTā hī nahīñ
badal ga.e haiñ mire dostoñ ke lahje bhī
maiñ ek shīsha-e-sāda huuñ aur mayassar huuñ
kisī kī aañkh mire ār-pār dekhe bhī
Top Urdushayar.com