Tariq Naeem

phir is se qabl ki bar-e-digar banaya jae

Tariq Naeem

Multan, Punjab, Pakistan

1958
phir is se qabl ki bār-e-digar banāyā jaa.e
ye ā.īna hai ise dekh kar banāyā jaa.e
maiñ sochtā huuñ tire lā-makāñ ke us jānib
makān kaisā banegā agar banāyā jaa.e
zarā zarā se ka.ī naqs haiñ abhī mujh meñ
na.e sire se mujhe gūñdh kar banāyā jaa.e
zamīn itnī nahīñ hai ki paañv rakh paa.eñ
dil-e-ḳharāb kī zid hai ki ghar banāyā jaa.e
bahut se lafz paḌe hāshiyoñ meñ sochte haiñ
kisī tarah se ibārat meñ dar banāyā jaa.e
vo jā rahā hai to jaate hue ko roknā kyā
zarā sī baat ko kyuuñ dard-e-sar banāyā jaa.e
kahīñ rukeñge to tāriq-'na.īm' dekheñge
safar meñ kyā koī zād-e-safar banāyā jaa.e
Top Urdushayar.com