mujhe zindagī se ḳhirāj hī nahīñ mil rahā
abhī us se merā mizāj hī nahīñ mil rahā
maiñ banā rahā huuñ ḳhayāl-o-ḳhvāb kī bandisheñ
mirī bandishoñ ko rivāj hī nahīñ mil rahā
mujhe saltanat to milī huī hai jamāl kī
kisī ishq kā koī taaj hī nahīñ mil rahā
mujhe milne aa.egā shaam ko mirā ham-suḳhan
mirā ā.īna mujhe aaj hī nahīñ mil rahā
mire chārāgar ko paḌī huī hai ilaaj kī
mujhe is kā koī ilaaj hī nahīñ mil rahā
mile kārvāñ ye bahut hī duur kī baat hai
abhī kārvāñ kā mizāj hī nahīñ mil rahā
abhī phir rahā huuñ maiñ āp-apnī talāsh meñ
abhī mujh se merā mizāj hī nahīñ mil rahā