agar kuchh bhī mire ghar se dam-e-ruḳhsat nikaltā hai
uThā le jaa.e jis kā jo mirī bābat nikaltā hai
ye vīrānī sī yūñhī to nahīñ rahtī hai āñkhoñ meñ
mire dil hī se koī jāda-e-vahshat nikaltā hai
ajab hairat-sarā hai ye jahān-e-tañg-dāmāñ bhī
yahāñ to dil bhī dhaḌkan se dam-e-hasrat nikaltā hai
ḳhush-arzānī huī hai is qadar bāzār-e-hastī meñ
girāñ jis ko samajhtā huuñ vo kam-qīmat nikaltā hai
ik aisī basti-e-sūrat-garāñ meñ ab ke aayā huuñ
mujhe jo dekhtā hai merā ham-sūrat nikaltā hai