Tariq Naeem

wo KHud gaya hai us ka asar to nahin gaya

Tariq Naeem

Multan, Punjab, Pakistan

1958
vo ḳhud gayā hai us kā asar to nahīñ gayā
zād-e-safar gayā hai safar to nahīñ gayā
mausam hī sirf badlā hai us ke mizāj kā
shāḳh-e-samar kaTī hai samar to nahīñ gayā
duniyā samajh rahī hai use bevafā magar
raste se uTh gayā hai vo ghar to nahīñ gayā
rah rah ke pūchhtī hai kaf-e-pā se chāñdnī
is raah se vo rashk-e-qamar to nahīñ gayā
dasht-e-junūñ pe girya-e-bārāñ thā raat bhar
dīvāna terā jaañ se guzar to nahīñ gayā
kis baat se ḳhajil huuñ sar-e-koh-e-tūr maiñ
tāb-e-nazar meñ zauq-e-nazar to nahīñ gayā
bikhre paḌe haiñ farsh pe va.ade na.e na.e
ā.īna-gar se aa.ina Dar to nahīñ gayā
tāriq-'na.īm' rahne lage ho malūl se
koī tumhārā ḳhvāb bikhar to nahīñ gayā
Top Urdushayar.com