Tariq Naeem

ba-nam-e-ishq yahi ek kaam karte hain

Tariq Naeem

Multan, Punjab, Pakistan

1958
ba-nām-e-ishq yahī ek kaam karte haiñ
ye zindagī kā safar us ke naam karte haiñ
ajab nahīñ dar-o-dīvār jaise ho jaa.eñ
ham aise log jo ḳhud se kalām karte haiñ
ye māh-rū bhī to hote haiñ āñsuoñ kī tarah
kisī kī aañkh meñ kab ye qayām karte haiñ
ġhazab kī dhuup hai ab ke safar meñ ham-nafaso
kisī ke sāya-e-gesū meñ shaam karte haiñ
tumhī ne saath diyā zindagī kī rāhoñ meñ
kitāb-e-umr tumhāre hī naam karte haiñ
kuchh is tarah tirī āñkhoñ meñ ashk haiñ jaise
shab-e-siyah meñ sitāre ḳhirām karte haiñ
ajiib log haiñ 'tāriq-na.īm' shahr ke bhī
ye tīr-e-hijr diloñ meñ niyām karte haiñ
Top Urdushayar.com