gudāz-e-dil se milā sozish-e-jigar se milā
jo qahqahoñ meñ gañvāyā thā chashm-e-tar se milā
ta.alluqāt ke ai dil hazār pahlū haiñ
na jaane mujh se vo kis nuqta-e-nazar se milā
kabhī thakan kā kabhī fāsloñ kā ronā hai
safar kā hausla mujh ko na ham-safar se milā
maiñ dūsroñ ke liye be-qarār phirtā huuñ
ajiib dard mujhe mere chāra-gar se milā
har inqalāb kī tārīḳh ye batātī hai
vo manziloñ pe na paayā jo rahguzar se milā
na maiñ ne soz hī paayā na istaqāmat hī
hajar hajar ko TaTolā shajar shajar se milā
'hafīz' ho gayā āḳhir ajal se ham-āġhosh
tamām shab kā satāyā huā sahar se milā