saarī tartīb-e-zamānī mirī dekhī huī hai
is kī tashkīl purānī mirī dekhī huī hai
zarre zarre ko batātā phirūñ kyā bahr thā maiñ
reg-e-sahrā ne ravānī mirī dekhī huī hai
ye jo hastī hai kabhī ḳhvāb huā kartī thī
ḳhvāb kī naql-e-makānī mirī dekhī huī hai
yūñhī to kunj-e-qanā.at meñ nahīñ aayā huuñ
khusravī shāh-jahānī mirī dekhī huī hai
dil ke bāzār meñ kyā suud o ziyāñ hotā thā
us kī arzānī girānī mirī dekhī huī hai
ik zamāne meñ to maiñ lafz huā kartā thā
tañgi-e-jū-e-ma.ānī mirī dekhī huī hai
tum jo sunte ho charāġhoñ kī zabānī to suno
shab kī har ek kahānī mirī dekhī huī hai
maiñ tire vasl ke gardāb meñ aane kā nahīñ
is kī har mauj purānī mirī dekhī huī hai