dar-o-bast-e-anāsir paara paara hone vaalā hai
jo pahle ho chukā hai phir dobāra hone vaalā hai
gumān-e-mahr meñ ye baat hī shāyad nahīñ hogī
huvaidā ḳhaak se bhī ik sharāra hone vaalā hai
kināra kar na ai duniyā mirī hast-e-zabūnī se
koī din meñ mirā raushan sitāra hone vaalā hai
pighalne jā rahā hai phir se bahr-e-munjamid koī
samundar hī samundar kā kināra hone vaalā hai
bahut maḳhfī jise rakkhā gayā thā chashm-e-imkāñ se
abhī kuchh din meñ us kā bhī nazāra hone vaalā hai
hamīñ haiñ us kī nīndeñ aur hamīñ us ke nigahbāñ haiñ
hamāre ḳhvāb par kis kā ijāra hone vaalā hai
vahī 'tāriq'-nai.īm ab is qafas ke baab kholegā
kisī kī aañkh se jo ik ishāra hone vaalā hai