Tariq Naeem

is raat kisi aur qalam-rau mein kahin tha

Tariq Naeem

Multan, Punjab, Pakistan

1958
is raat kisī aur qalam-rau meñ kahīñ thā
tum aa.e to maiñ apne badan hī meñ nahīñ thā
kyā bazm thī us bazm meñ kaun aa.e hue the
mahtāb bhī sūraj bhī sitāra bhī vahīñ thā
kuchh niiñd se bojhal thiiñ tire shahr kī āñkheñ
kuchh merī kahānī meñ bhī vo rabt nahīñ thā
kahte haiñ ki ruk sī ga.ī raftār-e-zamāna
jab sair-e-samāvāt meñ ik ḳhāk-nashīñ thā
ai kaash zarā der na tum raah badalte
do chaar qadam aur mirā shahr-e-hazīñ thā
aise to nahīñ auj pe aayā thā sitamgar
vo ḳhud bhī hasīñ us kā sitāra bhī hasīñ thā
maiñ ḳhāl-e-ruḳh-e-yār pe de detā samarqand
lekin vo ilāqa bhī mire paas nahīñ thā
Top Urdushayar.com