ye ḳhayāl thā kabhī ḳhvāb meñ tujhe dekhte
kabhī zindagī kī kitāb meñ tujhe dekhte
mire maah tum to hijāb hī meñ rahe magar
hameñ taab thī tab-o-tāb meñ tujhe dekhte
kabhī koī bābat-e-husn ham se jo pūchhtā
to ham ahl-e-ishq javāb meñ tujhe dekhte
kisī aur dhaj se banāte terā mujassama
kabhī ham jo ain-shabāb meñ tujhe dekhte
kabhī dekhte tujhe tīrgī ke jamāl meñ
kabhī raushnī ke sarāb meñ tujhe dekhte