Tariq Naeem

aaj kis KHwab ki tabir nazar aai hai

Tariq Naeem

Multan, Punjab, Pakistan

1958
aaj kis ḳhvāb kī ta.abīr nazar aa.ī hai
ik chhanaktī huī zanjīr nazar aa.ī hai
maiñ ne jitne bhī savāloñ meñ use dekhā hai
zindagī dard kī tasvīr nazar aa.ī hai
ḳhud bhī miT jā.ūñ ye duniyā bhī miTātā jā.ūñ
bas yahī sūrat-e-ta.amīr nazar aa.ī hai
raat ro ro ke gizārī hai charāġhoñ kī tarah
tab kahīñ harf meñ tāsīr nazar aa.ī hai
bārish-e-hijr ke aane kā hī imkān na ho
chashm-e-jānāñ mujhe nam-gīr nazar aa.ī hai
dard ko aañkh banāyā hai to phir jā ke kahīñ
dil pe likkhī huī tahrīr nazar nazar aa.ī hai
shaam hotī thī suhānī pa tire hijr ke ba.ad
aaj ye bhī mujhe dil-gīr nazar aa.ī hai
Top Urdushayar.com