jiinā kyā hai pichhlā qarz utaar rahā huuñ
maiñ to us kī baaqī umr guzār rahā huuñ
aa jā.egā chaak pe chalnā aur sambhalnā
abhī to gil se apnā-āp utaar rahā huuñ
koī kab dīvār banā hai mere safar meñ
ḳhud hī apne raste kī dīvār rahā huuñ
khul jā mujh par harf-e-tilism ki terī tarah se
ek zamāna maiñ bhī pur-asrār rahā huuñ
tujh ko manānā itnā gar āsān nahīñ hai
maiñ bhī dil kī pahlī baazī haar rahā huuñ