tujh ko is tarah kahāñ chhoḌ ke jaanā thā hameñ
vo to ik ahd thā aur ahd nibhānā thā hameñ
tum to us paar khaḌe the tumheñ ma.alūm kahāñ
kaise dariyā ke bhañvar kaaT ke aanā thā hameñ
un ko le aayā thā manzil pe zamāna lekin
ham chale hī the ki dar-pesh zamāna thā hameñ
vo jo ik baar uThā laa.e the ham ujlat meñ
phir vahī baar har ik baar uThānā thā hameñ
vo to aisā hai ki mohlat na milī thī varna
apnī barbādī pe ḳhud jashn manānā thā hameñ