havā meñ aa.e to lau bhī na saath lī ham ne
phir ek umr añdheroñ meñ kaaT dī ham ne
diye meñ zor bahut thā magar na jaane kyuuñ
bas ek had se na baḌhne dī raushnī ham ne
uThā uThā ke tire naaz ai ġham-e-duniyā
ḳhud aap hī tirī aadat ḳharāb kī ham ne
vafā meñ jhuuT milāyā diloñ meñ khoT rakhā
kuchh is tarah se nibhā.ī hai dostī ham ne
duā karo vo kisī dil-jale kī aah na ho
ufuq ke paas jo dekhī hai aag sī ham ne
ajiib sehr thā dil ke qimār-ḳhāne meñ
tab uTh ke aa.e ki hastī bhī haar dī ham ne
qafas-misāl thī 'tāriq'-na.īm duniyā bhī
asiir ho ke gizārī hai zindagī ham ne