Tariq Naeem

poshida kisi zat mein pahle bhi kahin tha

Tariq Naeem

Multan, Punjab, Pakistan

1958
poshīda kisī zaat meñ pahle bhī kahīñ thā
maiñ arz o samāvāt meñ pahle bhī kahīñ thā
ik lamha-e-ġhaflat ne mujhe zer kiyā hai
dushman to mirī ghaat meñ pahle bhī kahīñ thā
be-vaj.h na badle the musavvir ne irāde
maiñ us ke ḳhayālāt meñ pahle bhī kahīñ thā
is ke ye ḳhad-o-ḳhāl zamānoñ meñ bane haiñ
ye shahr-e-mazāfāt meñ pahle bhī kahīñ thā
kis zo.am se aa.ī hai sahar le ke ujālā
sūraj to siyah raat meñ pahle bhī kahīñ thā
ik harf jo ab jā ke samar-bār huā hai
vo merī munājāt meñ pahle bhī kahīñ thā
maiñ chaak pe rakkhā na gayā thā ki mirā zikr
nā-gufta hikāyāt meñ pahle bhī kahīñ thā
Top Urdushayar.com