kaun kahtā hai ki mahrūmī kā shikva na karo
haañ magar sāqi-e-mai-ḳhāna ko rusvā na karo
zikr chhiḌ jaa.e agar qaum kī bad-baḳhtī kā
rahnumāoñ kī taraf koī ishāra na karo
zehn sanjīda masā.il se haTāne ke liye
roz ye shaiḳh o barhaman kā tamāshā na karo
ek bhī lafz haTāne kī nahīñ gunjā.ish
mere paiġhām-e-mohabbat kā ḳhulāsa na karo
ye ta.alluq kī ḳharāsheñ bhī mazā detī haiñ
ruuTh jaa.e koī tum se to manāyā na karo
aaj bhī maiñ nahīñ insāñ se māyūs ki jab
log kahte haiñ ḳhudā par bhī bharosā na karo