Tariq Naeem

main aa raha tha sitaron pe panw dharte hue

Tariq Naeem

Multan, Punjab, Pakistan

1958
maiñ aa rahā thā sitāroñ pe paañv dharte hue
badan utaar diyā ḳhaak se guzarte hue
jamāl mujh pe ye ik din meñ to nahīñ aayā
hazār ā.īne TuuTe mire sañvarte hue
ajab nazar se charāġhoñ kī samt dekhā hai
havā ne zīna-e-pindār se utarte hue
ik-ādh jaam to pī hī liyā thā ham ne bhī
ḳhumār-e-ḳhāna-e-duniyā kī sair karte hue
na jaane kyā dil-e-sayyād meñ ḳhayāl aayā
vo ro diyā thā mire bāl-o-par katarte hue
ab āsmān bhī kam paḌ rahe haiñ us ke liye
qadam zamīn par rakkhā thā jis ne Darte hue
vahī sitāra sitāroñ kā hukmarāñ Thahrā
laraz rahā thā jo pahlī zaqand bharte hue
vo aa.ina thā maiñ tāriq-'na.īm' TuuT ke bhī
hazār aks banātā gayā bikharte hue
Top Urdushayar.com