be-sahāroñ kā intizām karo
yaanī ik aur qatl-e-ām karo
ḳhair-ḳhvāhoñ kā mashvara ye hai
Thokareñ khaao aur salām karo
dab ke rahnā hameñ nahīñ manzūr
zālimo jaao apnā kaam karo
ḳhvāhisheñ jaane kis taraf le jaa.eñ
ḳhvāhishoñ ko na be-lagām karo
mezbānoñ meñ ho jahāñ an-ban
aisī bastī meñ mat qayām karo
aap chhaT jā.eñge havas vaale
tum zarā be-ruḳhī ko aam karo
DhūñDte ho giroñ paḌoñ ko kyuuñ
uḌne vāloñ ko zer-e-dām karo
dene vaalā baḌā.ī bhī degā
tum samā.ī kā ehtimām karo
bad-duā de ke chal diyā vo faqīr
kah diyā thā ki koī kaam karo
ye hunar bhī baḌā zarūrī hai
kitnā jhuk kar kise salām karo
sar-phiroñ meñ abhī harārat hai
in jiyāloñ kā ehtirām karo
saañp aapas meñ kah rahe haiñ 'hafīz'
āstīnoñ kā intizām karo