Haqeer

dushman hain wo bhi jaan ke jo hain hamare log

Haqeer

dushman haiñ vo bhī jaan ke jo haiñ hamāre log
aur aap ke haiñ dost zamāne meñ saare log
aatā nahīñ hai sāhil-e-bahr-e-fanā nazar
kyā jāneñ paar hote haiñ kis ke sahāre log
kyā jāneñ un kī chaal meñ e.ajāz hai ki sehr
vo bhī unhīñ se mil ga.e jo the hamāre log
ho kis zabāñ se mahfil-e-dildār kī sanā
vo āftāb-e-husn to anjum haiñ saare log
taqsīr-vār-e-ishq jo hotā hai koī zab.h
karte haiñ afv jurm ke un se ishāre log
dekhā baġhaur aib se ḳhālī nahīñ koī
bazm-e-jahāñ meñ sab haiñ ḳhudā ke sañvāre log
chhoḌā na saath hashr tak a.amāl-e-nek 'haqīr'
sab ho ga.e luTā ke lahad meñ kināre log
Top Urdushayar.com