Haqeer

kis ki us tak rasai hoti hai

Haqeer

kis kī us tak rasā.ī hotī hai
haañ magar jis kī aa.ī hotī hai
yaar ham se siyāh-baḳhtoñ kī
zulf tak kab rasā.ī hotī hai
ḳhuub mil kar gale se ro lenā
is se dil kī safā.ī hotī hai
Dūbtī hai hamārī kashti-e-dil
aap se āshnā.ī hotī hai
shor hai al-firāq kā har dam
ham se un se judā.ī hotī hai
lashkar-e-ġham kī kishvar-e-dil par
raat din ab chaḌhā.ī hotī hai
un kī mahfil meñ jaate Dartā huuñ
vaañ lagā.ī-bujhā.ī hotī hai
us ke dar par 'haqīr' tum bhī chalo
vahīñ mushkil-kushā.ī hotī hai
Top Urdushayar.com