ai yaas jo tū dil meñ aa.ī sab kuchh huā par kuchh bhī na huā
yaañ ho ga.ī ḳhāna-vīrānī aur terā zarar kuchh bhī na huā
thā qasd ki un ko rokeñgi shab guzrī inhīñ andeshoñ meñ
par hā.e-re nākāmī dil kī hañgām-e-sahar kuchh bhī na huā
ehsān tirā mujh par hotā gar ruuh ko kartā tan se judā
jab jaan bachī furqat kī shab ai dard-e-jigar kuchh bhī na huā
ai kaash vo bāteñ kī hotīñ jo vahshat-e-dil ko kam kartīñ
itnā jo bakā to ai nāseh mujh ko to asar kuchh bhī na huā
ab chāhiye aisī fikr tujhe jis se ki nazāre kī Thahre
har vaqt ke rone se hāsil ai dīda-e-tar kuchh bhī na huā
dil aur jigar jaañ aur ye sar ham shauq se laa.e paas tire
qismat kā gila ab kis se kareñ manzūr-e-nazar kuchh bhī na huā
yā us se javāb-e-ḳhat laanā yā qāsid itnā kah denā
bachne kā nahīñ bīmār tirā irshād agar kuchh bhī na huā
dhun vasl kī tujh par ġhālib hai tū aish-o-tarab kā tālib hai
kyā lutf 'haqīr' is ulfat kā betāb agar kuchh bhī na huā