sāqiyā aisā pilā de mai kā mujh ko jaam talḳh
zindagī dushvār ho aur ho mujhe ārām talḳh
maiñ to shīrīñ-tar shakar se bhī samajhtā huuñ use
jab vo dete haiñ burā kah kar mujhe dushnām talḳh
bazm-e-mai meñ zikr tak aane nahīñ dete haiñ vo
hai hamārā naam goyā zahr kā ik jaam talḳh
kyā sabab lete nahīñ vo naam tak merā kabhī
ḳhauf is kā hai na ho jaa.eñ zabān-o-kām talḳh
ishq ke phande se bachiye ai 'haqīr'-e-ḳhasta-dil
is kā hai āġhāz shīrīñ aur hai anjām talḳh