Haqeer

na-tawan wo hun ki dam bhar nahin baiTha jata

Haqeer

nā-tavāñ vo huuñ ki dam bhar nahīñ baiThā jaatā
vo bulāte to abhī uTh ke maiñ dauḌā jaatā
but-kade meñ bhī gayā ka.aba kī jānib bhī gayā
ab kahāñ DhūñDhne tujh ko tirā shaidā jaatā
kyuuñ jī kyuuñ ġhair kī bātoñ kā to dete ho javāb
ham jo kuchh pūchheñ to muñh se nahīñ phūTā jaatā
yak-ba-yak tark na karnā thā mohabbat mujh se
ḳhair jis tarah se aatā thā vo aatā jaatā
kah ke ye Tal ga.e bālīñ se ayādat ko jo aa.e
ab tirā hāl-e-pareshāñ nahīñ dekhā jaatā
ḳhvāhish-e-dasht-navardī kabhī hotī na mujhe
bevafā tū mire ghar par kabhī aatā jaatā
ḳhaak phūlūñ-phalūñ is gulshan-e-vīrāñ meñ'' 'haqīr'
bāġh-e-hastī se ḳhizāñ kā nahīñ khaTkā jaatā
Top Urdushayar.com