bād-e-sabā ye zulm ḳhudā-rā na kījiyo
is bevafā se zikr hamārā na kījiyo
ġham kī kamī nahīñ hai jahān-e-ḳharāb meñ
ai dil taras taras ke guzārā na kījiyo
ai sāhab-e-urūj tū bām-e-urūj se
sūraj ke Dūbne kā nazārā na kījiyo
aisā na ho ki log hameñ pūjne lageñ
itnā bhī ehtirām hamārā na kījiyo
sāhil agar nasīb bhī ho jaa.e ai 'hafīz'
tūfāñ se bhuul kar bhī kinārā na kījiyo