Irfana Azeez

charagh-e-fikr jalaya hai raat bhar humne

Irfana Azeez

Karachi, Sindh, Pakistan

1941
charāġh-e-fikr jalāyā hai raat bhar ham ne
aur us ke ba.ad nikhārā ruḳh-e-sahar ham ne
hameñ shu.ūr ne dhoke diye haiñ rah rah kar
fareb khaa.e haiñ dānista beshtar ham ne
sila ḳhirad kā zamāne meñ jām-e-zahr sahī
nikhār dī hai magar azmat-e-bashar ham ne
nazar ho daulat-e-har-do-jahāñ pe kyā maa.il
sameT lī hai bahut daulat-e-nazar ham ne
sadā-e-pā kī sunī bāz-gasht hī har gaam
talāsh kī hai jahāñ terī rahguzar ham ne
nigār-e-gul ne liyā naam zer-e-lab terā
udaas chāñd ko dekhā pas-e-shajar ham ne
Top Urdushayar.com