sāñjh savere panchhī gaa.eñ le kar terā naam
Daalī Daalī par hai terī yādoñ ke bisrām
bichhḌā sāthī DhūñDh rahī hai gūñjoñ kī ik Daar
bhīge bhīge nain uThā.e dekh rahī hai shaam
mīThī niiñd meñ Duube gaañv bujh ga.e saare diip
birhā ke māroñ kā sukh ke sapnoñ se kyā kaam
chhoḌ shikārī apnī ghāteñ badal gayā sansār
uḌ jā.eñge ab to panchhī le kar terā daam
āñkhoñ par palkoñ kā sājan kab hotā hai bojh
duur se aa.e ho tum nain biich karo ārām