Irfana Azeez

rup ke panw chumne wale sun le meri bani

Irfana Azeez

Karachi, Sindh, Pakistan

1941
ruup ke paañv chūmne vaale sun le merī baanī
phuul kī Daalī bahut hī ūñchī tū hai bahtā paanī
soñdhī soñdhī ḳhushbū ke bahte haiñ shītal jharne
khetoñ par lahrātā hai jab merā āñchal dhānī
tū merā ādarsh suhānā maiñ sapnoñ kī Daalī
hariyālī dhun terā merā daulat ānī-jānī
chāñd se māthe par haiñ gahrī soch kī tiin lakīreñ
bhuul ga.ī rasta in bhūl-bhulayyoñ meñ ik raanī
phail gayā hai qarya qarya terā rañg sunahrā
tū hai merā ruup saverā maiñ huuñ shaam suhānī
bai-rāgī ke ruup meñ mere dar par aane vaale
tere dil kī dhaḌkan lagtī hai jānī-pahchānī
kitnī ūñchī priit hai terī jantā ke rakhvāle
shaktī kā parchār karegī terī prem-divānī
Top Urdushayar.com