har kāsa-e-dil kaif se sarshār bahut hai
mā.il-ba-karam koī tarah-dār bahut hai
kab satvat-e-asbāb kī hai dil ko tamannā
ham ahl-e-tarīqat ko to pindār bahut hai
ye ahd ibārat nahīñ shamshīr-o-sināñ se
shorīda-saro! jur.at-e-guftār bahut hai
kartā hai lahū dil ko har ik harf-e-tasallī
kahne ko to yuuñ qurbat-e-ġham-ḳhvār bahut hai
har-chand rasā.ī meñ nahīñ fasl-e-bahārāñ
arbāb-e-junūñ dāman-e-dildār bahut hai
hoñToñ se ho mānūs agar haq to junūñ ko
ik na.ara-e-mansūr sar-e-dār bahut hai