Irfana Azeez

mutarannim hai meri ruh mein yun teri sada

Irfana Azeez

Karachi, Sindh, Pakistan

1941
mutarannim hai mirī ruuh meñ yuuñ terī sadā
ābshāroñ kī sukūñ-rez ravānī jaise
nūr-o-nik.hat meñ nahāyā huā vo terā kalām
rūd-e-kausar kā chamaktā huā paanī jaise
merī palkoñ pe haiñ yuuñ gauhar-e-shabnam ġhaltāñ
mere hoñToñ pe ho phūloñ kī kahānī jaise
mere sāñsoñ meñ machaltī hai hinā kī ḳhushbū
terī nau-ḳhez mohabbat kī nishānī jaise
kitnā ḳhush-rañg hai ma.asūm tabassum terā
muskurātī ho bahāroñ kī javānī jaise
bas gayā mere tasavvur meñ hayūlā terā
zehn-e-shā.ir meñ koī yaad suhānī jaise
dil ke āñgan meñ ubhartā hai tirā aks-e-jamīl
chāñdnī-rāt meñ ho raat kī raanī jaise
Top Urdushayar.com