Irfana Azeez

nil-gagan par surKH parindon ki Daron ke sang

Irfana Azeez

Karachi, Sindh, Pakistan

1941
nīl-gagan par surḳh parindoñ kī Dāroñ ke sañg
badlī ban kar uḌtī jaa.e merī shoḳh umañg
komal kaliyoñ jaisā merā paak pavitra sarīr
pavan ke chhūne se uḌ jaatā hai chehre kā rañg
sapnoñ kī Daalī par chamkā ek sunahrā paat
chaḌhtā sūraj dekh ke jis kā ruup huā hai dañg
jalte bujhte phūloñ se utrī ḳhushbū kī raakh
dho kar aag jo us ne dekhā añgāroñ kā rañg
ta.ane de kar log lagāte haiñ kyuuñ aag meñ aag
bastī vaale kyuuñ karte haiñ bairāgan ko tañg
Top Urdushayar.com