hama-tan jalvā-fishāñ māh-o-charāġhāñ kī tarah
kaun aayā dil-e-pur-shauq meñ mehmāñ kī tarah
guuñj uThī ġham-kada-e-rūh meñ us kī āvāz
ḳhvāb meñ bahte hue chashma-e-irfāñ kī tarah
zehn-e-fankār meñ mānind-e-shu.ūr-e-naġhma
safha-e-dil pe hai vo nazm ke unvāñ kī tarah
zau-fishāñ mere sanam-ḳhāna-e-afkār meñ hai
lab-e-ma.asūm koī la.al-e-badaḳhshāñ kī tarah
ahrman ban ke ta.āqub meñ rahī zulmat-e-shab
chhup gayā koī mirī ruuh meñ yazdāñ kī tarah
barhana-pā-o-sarāsīma thī tauqīr-e-bashar
vo mire saath rahā azmat-e-insāñ kī tarah
mizha ālūda-ba-ḳhūñ chashm-e-tamannā ḳhūñ-bār
sīna-e-dahr meñ huuñ zaḳhm-e-numāyāñ kī tarah
ai mire ham-dam-e-dil-gīr duā de mujh ko
us ke qadmoñ pe rahūñ shāḳh-e-gul-afshāñ kī tarah
jal uThī sham-e-tamannā sar-e-mehrāb-e-visāl
kaun aatā hai ye ḳhurshīd-e-farozāñ kī tarah