rañg-birañge phūloñ jaisī merī chanchal aas
merī aas kā ruup manohar pirītam ko hai raas
chupke chupke kyā kahte haiñ tujh se dhaan ke khet
bol rī nirmal nirmal nadiyā kyuuñ hai chāñd udaas
sur-sāgar jaise gahre haiñ mere kavī ke nain
dekh sakhī panghaT par aayā kaun bujhāne pyaas
nuur ke taḌke maiñ ne dekhī pankhuḌiyoñ par os
tāroñ ke motī chuntī hai saarī raat kapās
sāñjh-savere nainoñ meñ lahrā.e us kā ruup
mere sapnoñ kā rakhvālā duur rahe yā paas