kab dil ke zaḳhm chāragaroñ se rafū hue
jo haath dil kī samt baḌhe sab lahū hue
shikve hue ki jaur hue sab hue tamām
vo husn-e-ittifāq se jab rū-ba-rū hue
jis ke sabab har ek suḳhan-fahm hai ḳhafā
muddat huī hai aap se vo guftugū hue
kiije talāsh tark-e-tamannā kī sūrateñ
guzrā hai ik zamāna jigar ko lahū hue
shorish hai ek mauj-e-talātum kī tham ga.ī
shorīda-sar zamāne kī jab aabrū hue
nikle jo manziloñ kī tamannā meñ kho ga.e
jo sañg-e-dar pe tere jhuke suraḳh-rū hue