Hina Ambareen Tariq

adu ke shahr mein kab be-asar hun

Hina Ambareen Tariq

adū ke shahr meñ kab be-asar huuñ
ḳhudā kā shukr hai jo mo'atabar huuñ
sitāra huuñ ki maiñ raushan qamar huuñ
duā maañ kī hai jis kā maiñ samar huuñ
bahāreñ kyuuñ na phir se lauT aa.eñ
unheñ ma.alūm hai maiñ bhī idhar huuñ
isī sahrā se merī nisbateñ haiñ
jahāñ kā maiñ hī ik vāhid shajar huuñ
mohabbat jurm hai kis ne kahā hai
batā do sab ko maiñ dil meñ agar huuñ
balā kā hausla mujh ko milā hai
bahut dushvār hai rasta jidhar huuñ
jise sun kar sabhī hairān haiñ kyuuñ
tumheñ lagtā hai maiñ aisī ḳhabar huuñ
darīche meñ jo rakkhā jal rahā hai
diyā aisā havā ke dosh par huuñ
bulandī chhū ke aa.uuñ āsmāñ kī
parinda huuñ sadā mahv-e-safar huuñ
tumhāre ahd kī huuñ munharif to
sazā mil kar rahegī bā-ḳhabar huuñ
Top Urdushayar.com