kabhī bahāroñ ke mausamoñ meñ jo dil kī bastī ġhazal-sarā thī
vahīñ kahīñ ek aarzū ke machalne kī bhī baḌī kathā thī
jalā ke jab saarī kashtiyāñ maiñ samundaroñ kī banī ġhizā thī
usī ghaḌī to jabīn-e-shab par likhī ga.ī merī bhī duā thī
binā sahāroñ ke ziist mushkil guzār aa.e to phir ye jaanā
ki maiñ hī apne hasīñ chaman kā zamīn-e-nam thī shajar ghanā thī
mohabbateñ bhī rifāqateñ bhī adāvateñ aur nadāmateñ bhī
mirā asāsa maiñ jāntī thī kahāñ vafā thī kahāñ jafā thī
virāsatoñ kī kitāb kholī to naam merā kahīñ nahīñ thā
maiñ chup thī sochā ki is meñ shāyad mire qabīle kī bhī razā thī
jalegā dil to dhuāñ uThegā ye aag aise nahīñ bujhegī
nagar nagar ye ḳhabar pahuñchtī magar havā kī ajab dishā thī
bahut pukārā thā manziloñ ne 'hinā' mujhe un hī rāstoñ se
magar musalsal safar thā merā kahīñ na rukne meñ hī baqā thī