mahaktā huā aaj saarā chaman hai
bahāroñ kā maskan mirā hī vatan hai
guloñ kā jo nikhrā huā sā badan hai
ajab hai nazākat ġhazab bāñkpan hai
suḳhan kā ye rasta bahut hī kaThin hai
magar har suḳhnavar isī meñ magan hai
to jā.ūñ kahāñ us galī se jo niklūñ
kahīñ bhī rukūñ maiñ usī kī lagan hai
khaḌe haiñ pareshāñ yahāñ par sabhī jo
jahāñ dekhte haiñ fazā meñ ghuTan hai
ba-zāhir jo karte haiñ ulfat kī bāteñ
unhī ke diloñ meñ hasad hai jalan hai
'hinā' tum batā do kahāñ hai vo manzil
ye rasta hai kaisā ye kaisī thakan hai