koī bastī na.ī ham tum kahīñ ābād karte haiñ
chalo aao koī rasta nayā ījād karte haiñ
samundar ho ki sahrā ho gul-o-gulzār ho chāhe
ye ham hī log haiñ jo har nagar ābād karte haiñ
yahī ḳhvāhish tumhārī hai ki tum ham se bichhaḌ jaao
to phir jaao abhī se ham tumheñ āzād karte haiñ
hameñ to aarzū ye thī qafas ko toḌ Daalo tum
magar tum ne kiyā vo hī jo sab sayyād karte haiñ
mire har lafz meñ yārab bayāñ ho haq faqat sach ho
atā dī hai qalam kī to ye bhī fariyād karte haiñ
mohabbat meñ jo haare ho to behtar hai palaT jaao
dar-o-dīvār-e-sañg-o-bām sab hī yaad karte haiñ