Rajinder Manchanda Bani

tujhe zara dukh aur sisakne wala main

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
tujhe zarā dukh aur sisakne vaalā maiñ
tirī udāsī dekh na sakne vaalā maiñ
tire badan meñ chiñgārī sī kyā shai hai
aks zarā sā aur chamakne vaalā maiñ
tire lahū meñ bedārī sī kyā shai hai
lams zarā sā aur mahakne vaalā maiñ
tirī adā meñ purkārī sī kyā shai hai
baat zarā sī aur jhijakne vaalā maiñ
rañgoñ kā ik bāġh-e-hasīñ chehra terā
kyā kyā dekhūñ aañkh jhapakne vaalā maiñ
sañg nahīñ huuñ baat na mānūñ mausam kī
huā zarā sī aur lachakne vaalā maiñ
safar meñ tanhā qadam uThānā mushkil hai
saath tumhāre kabhī na thakne vaalā maiñ
Top Urdushayar.com