sadā-e-dil ibādat kī tarah thī
nazar shamā-shikāyat kī tarah thī
bahut kuchh kahne vaalā chup khaḌā thā
fazā ujlī sī hairat kī tarah thī
kahā dil ne ki baḌh ke us ko chhū luuñ
adā ḳhud hī ijāzat kī tarah thī
na aayā vo mire ham-rāh yuuñ to
magar ik shai rifāqat kī tarah thī
maiñ tez o sust baḌhtā jā rahā thā
havā harf-e-hidāyat kī tarah thī
na pūchh us kī nazar meñ kyā the meyār
pasand us kī ri.āyat kī tarah thī
milā ab ke vo ik chehra lagā.e
magar sab baat aadat kī tarah thī
na laḌtā maiñ ki thī chhoTī sī ik baat
magar aisī ki tohmat kī tarah thī
koī shai thī banī jo husn-e-iz.hār
mire dil meñ aziyyat kī tarah thī