Rajinder Manchanda Bani

chhupi hai tujh mein koi shai use na ghaarat kar

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
chhupī hai tujh meñ koī shai use na ġhārat kar
jo ho sake to kahīñ dil lagā mohabbat kar
adā ye kis kaTe patte se tū ne sīkhī hai
sitam havā kā ho aur shāḳh se shikāyat kar
na ho muḳhil mire andar kī ek duniyā meñ
baḌī ḳhushī se bar-o-bahr par hukūmat kar
vo apne aap na samjhegā tere dil meñ hai kyā
ḳhalish ko harf banā harf ko hikāyat kar
mire banā.e hue but meñ ruuh phūñk de ab
na ek umr kī mehnat mirī akārat kar
kahāñ se aa gayā tū bazm-e-kam-yaqīnāñ meñ
yahāñ na hogā koī ḳhush hazār ḳhidmat kar
kuchh aur chīzeñ haiñ duniyā ko jo badaltī haiñ
ki apne dard ko apne liye ibārat kar
nahīñ ajab isī pal kā ho muntazir vo bhī
ki chhū le us ke badan ko zarā sī himmat kar
ḳhulūs terā bhī ab zad meñ aa gayā 'bānī'
yahāñ ye roz ke qisse haiñ jī burā mat kar
Top Urdushayar.com