sar-ba-sar ek chamaktī huī talvār thā maiñ
mauj-e-dariyā se magar bar-sar-e-paikār thā maiñ
maiñ kisī lamha-e-be-vaqt kā ik saaya thā
yā kisī harf-e-tahī-ism kā iz.hār thā maiñ
ek ik mauj paTaḳh detī thī bāhar mujh ko
kabhī is paar thā maiñ aur kabhī us paar thā maiñ
us ne phir tark-e-ta.alluq kā bhī mauqa.a na diyā
ghaTte rishtoñ se ki har-chand ḳhabar-dār thā maiñ
is tamāshe meñ ta.assur koī laane ke liye
qatl 'bānī' jise honā thā vo kirdār thā maiñ