din ko daftar meñ akelā shab bhare ghar meñ akelā
maiñ ki aks-e-muntashir ek ek manzar meñ akelā
uḌ chalā vo ik judā ḳhāka liye sar meñ akelā
sub.h kā pahlā parinda āsmāñ bhar meñ akelā
kaun de āvāz ḳhālī raat ke andhe kueñ meñ
kaun utre ḳhvāb se mahrūm bistar meñ akelā
us ko tanhā kar ga.ī karvaT koī pichhle pahar kī
phir uḌā bhāgā vo saarā din nagar bhar meñ akelā
ek maddham aañch sī āvāz sargam se alag kuchh
rañg ik dabtā huā sā puure manzar meñ akelā
boltī tasvīr meñ ik naqsh lekin kuchh haTā sā
ek harf-e-mo'tabar lafzoñ ke lashkar meñ akelā
jaao maujo merī manzil kā pata kyā pūchhtī ho
ik jazīra duur uftāda samundar meñ akelā
jaane kis ehsās ne aage nahīñ baḌhne diyā thā
ab paḌā huuñ qaid maiñ raste ke patthar meñ akelā
hū-ba-hū merī tarah chup-chāp mujh ko dekhtā hai
ik laraztā ḳhūb-sūrat aks sāġhar meñ akelā