aaj ik lahr bhī paanī meñ na thī
koī tasvīr ravānī meñ na thī
valvala misra-e-avval meñ na thā
harakat misra-e-sānī meñ na thī
koī āhañg na alfāz meñ thā
kaifiyat koī ma.ānī meñ na thī
ḳhuuñ kā nam sāda-navā.ī meñ na thā
ḳhuuñ kī bū shoḳh-bayānī meñ na thī
koī mafhūm tasavvur meñ na thā
koī bhī baat kahānī meñ na thī
rañg ab koī ḳhalāoñ meñ na thā
koī pahchān nishānī meñ na thī
ḳhush-yaqīnī meñ na thā ab koī nuur
zau koī ḳhanda-gumānī meñ na thī
jī sulagne kā dhuāñ ḳhat meñ na thā
raushnī harf-e-zabānī meñ na thī
rañj bhūle hue va.ade kā na thā
lazzat ab yād-dahānī meñ na thī
lo ki jāmid sī ġhazal bhī likh dī
aaj kuchh zindagī 'bānī' meñ na thī